Ahle Sunni Markaz
Saturday, December 10, 2016
AAJ KA REHMATO KA DARIYA
Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Farmaya hai ke Jab Koi Banda Muj Par Duroode Paak Bhejta Hai To Woh Duroode Paak Uske Mooh Se Foran Nikal Kar Duniya Ke Tamam Medano Dariyao Mashrik Se Le Kar Magrib Tak Pahoch Jata Hai Duniya Ka Koi Medan Sehra Dariya Ya Pahad Nahi Jaha Se Ye Duroode Paak Na Guzra Ho Aur Ye Duroode Paak Kehta Hai Ke Me Fala Ibne Fala Ka Bheja Huwa Duroode Paak Hu Jisne Muje Tamam Qaenat Se Behtar Hazrat Mohammad Sallallaho Alaihe Wasallam Par Bheja Hai ...
( Ref , Duroodo Salam 346 )
( Dalailul Khairat )
Wednesday, December 7, 2016
QABR ME AANE WALE AARAM DEH AAMAL....
*क़ब्र को रौनक बख्शने और इसे आराम देह बनाने वाले आमाल* #02
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ*
*اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*
*_मुझे नमाज़ पढ़ने दो_*
हदिष *में है की जब मैय्यत क़ब्र मे दाखिल की जाती है तो उसे सुरज डूबता (यानी गुरुब होता) नज़र हुवा मालुम होता है तो वो आँखे मलता हुवा बैठता है और कहता है : मुझे छोडो में नमाज़ पढ़ लू।*
*✍🏽सुनन इब्ने माजह, 4/503*
*हज़रते *मुल्ला अली कारी अलैरहमा लिखते है : गोया वो उस वक़्त अपने आप को दुन्या ही में तसव्वुर करता है के सुवाल व जवाब रहने दो मुझे फ़र्ज़ अदा करने दो, वक़्त खत्म हुवा जा रहा है, मेरी नमाज़ जाती रहेगी।*
*ये *बात वही कहेगा जो दुन्या में नमाज़ का पाबन्द था और उस को हर वक़्त नमाज़ का ख्याल लगा रहता था।*
*_दो अँधेरे दूर होंगे_*
*मन्कुल *है के अल्लाह ने हज़रते मूसा कलीमुल्लाह से फ़रमाया के में ने उम्मते मुहम्मदिया को दो नूर अता किये है ताके वो दो अंधेरो के नुकसान से महफूज़ रहे। मूसा कलीमुल्लाह ने अर्ज़ की : या अल्लाह ! वो दो नूर कौन से है ? इरशाद हुवा* : *नुरे रमज़ान* *और* *नुरे कुरआन*। *अर्ज़ की: दो अँधेरे कौन से है ? फ़रमाया एक क़ब्र का और दूसरा क़यामत का।*
*✍🏽दुर्र्त्तुन नासिहीन, 9*
*✍🏽क़ब्र में आनेवाला दोस्त, 63*
_____________________________
*🌴जो नबीﷺका नहीं वो हमारा नहीं*
Saturday, November 26, 2016
Saturday, November 19, 2016
DONO HATH FELAKAR ALLAH SE SAWAL...KARO....
Huzoor Sarwar e Qainaat Anees e Bekasa ﷺ Irshad Farmate hai "Tumhara Rabb Haya Wala Kareem Hai, Koi Banda Uski Taraf Apne Dono Haath Uthata Hai Toh Woh Unko Khali Lautane Se Haya Farmata Hai." Hazrate Ibne Abbas ﮫﻨﻋ ﷲ ﻲﺿر Farmate Hai Ke Sawaal ka Tariqa Yeh Hai Ke Apne Dono Haath Apne Kandho tak Utthaye Aur Gir Gira Kar Sawaal Karey. Tariqa Yeh Hai Apne Dono Haath Faila Do. [Abu Dawood Shareef 1/209
Tuesday, November 15, 2016
ILM KE...KI...FAZILAT OR BARAKAT
Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ Ne Irshad Farmaya. Be Ilm Shakhs Ko Taleem dena Neki Aur Sadqa Hai Aur Ilm Ko Uske Ahl Par Kharch Karna Qurb e Ilahi Ka Zariya Hai. Kyuke Ilm Halaal o Haraam Se Waqifiyat Ka Waseela Hai. Woh Ahle Jannat Ke Raaste Ka Minaar Hai. Ilm Wahshat o Tanhaayi Me Gammgusaar hai. Safar Me Behtareen Saathi Hai. Tanhaayi Me Guftagu Karne Wala Hai. Woh Khush Haali Me Rehnuma Aur Tangdasti me Madadgaar Hai. Dushmano Ke Khilaaf Hathyaar Hai Aur Doston Ke Haq Me Zeenat Hai. Ilm ke Sabab Allah Ta'ala Kuch Afraad Ko Rifat o Bulandi Ataa Farmata Hai Aur Unhein Khair o Bhalayi Ke Kaamon Me Aisa Qayad o Imam Banata Hai Ke Unke Nakshe Kadam Par Chala Jaata Hai. Unke Tareeke ko Apnaya Jaata Hai Aur Unki Raaye Ko Qaul e Faisla Maana Jaata Hai. [Nuzhatul Majalis
Monday, November 14, 2016
HUZUR SALLALLAHU ALAYAHI WASALLAM NE FARMAYA TUK ME SE HAR SAKHSH SE ALLAH TA'ALA KALAM FARMAUEGA.....
Tajdare Madina ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Tum Me se Har Shakhs Se Allah Ta'ala Kalaam Farmaega Iss Tarha Ke Bich Me Koi Tarjuman Na Hoga Aur Na Koi Hijaab. Bukhari Shareef 8443. Muslim Shareef 2309. Sahaba Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Kya Qayamt Ke Din Hum Rabb e Kareem Ko dekhenge Toh Sarwar e Kaainaat ﷺ Ne Farmaya ke Kya Tumhe Abr (Clouds) Na Ho Toh Suraj Chand Dekhne Me Koi Taklif Hoti Hai Bass Yunhi Tum Apne Rabb Ka Deedar Karoge. [Bukhari Shareef 8439, Muslim Shareef 302, Abu Dawood 4730
Sunday, November 13, 2016
MERE SARAKAR KI KYA SHAN HAI...SUBHANALLAH JARA ISE BHI GOUR SE PADHO MERE PYARE SUNNI BHAIO
Suleh Hudaibiyah Ke Waqt Jabh Huzoor Sarwar e Qainaat ﷺ Ne Hazrat e Usman Gani ﮫﻨﻋ ﷲ ﻲﺿر Ko Makkah Me Mushriqeen Ke Paas Bheja Toh Quraish Ne Hazrate Usman e Gani ﮫﻨﻋ ﷲ ﻲﺿر Se Kaha Ke Tum Kaabe Ka Tawaaf Karlo Toh Hazrate Usman ﮫﻨﻋ ﷲ ﻲﺿر Ne Jawab Diya Mei Uss Waqt Tak Kaabe ka Tawaaf Nahi Karoonga Jab Tak Aaqa e Kareem ﷺ Kaabe Ka Tawaf Na Karle.. [Dallailun Naboovah 4/135] SubhanAllah Kya Shaan h Mere Aaqa ﷺ Ki... EK simt Ali Ek Simt Umar Siddique idhar Usmaan udhar... In Jag Mag Jag Mag Taaro Mai Sarkaar Ka Aalam Kya Hoga.. SallAllahu Alaihi Wasallam. RadiyAllahu Ta'ala Alaihim Ajmaeen
Subscribe to:
Posts (Atom)