Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ Ne Irshad Farmaya. Be Ilm Shakhs Ko Taleem dena Neki Aur Sadqa Hai Aur Ilm Ko Uske Ahl Par Kharch Karna Qurb e Ilahi Ka Zariya Hai. Kyuke Ilm Halaal o Haraam Se Waqifiyat Ka Waseela Hai. Woh Ahle Jannat Ke Raaste Ka Minaar Hai. Ilm Wahshat o Tanhaayi Me Gammgusaar hai. Safar Me Behtareen Saathi Hai. Tanhaayi Me Guftagu Karne Wala Hai. Woh Khush Haali Me Rehnuma Aur Tangdasti me Madadgaar Hai. Dushmano Ke Khilaaf Hathyaar Hai Aur Doston Ke Haq Me Zeenat Hai. Ilm ke Sabab Allah Ta'ala Kuch Afraad Ko Rifat o Bulandi Ataa Farmata Hai Aur Unhein Khair o Bhalayi Ke Kaamon Me Aisa Qayad o Imam Banata Hai Ke Unke Nakshe Kadam Par Chala Jaata Hai. Unke Tareeke ko Apnaya Jaata Hai Aur Unki Raaye Ko Qaul e Faisla Maana Jaata Hai. [Nuzhatul Majalis
No comments:
Post a Comment