FAZIL AT-E-DUROOD SALAAMصلیاللہعلیہوالہوصحبہوبارکوسلمQuran-e-Kareem 0 Furqan-e-Hameedke para number 22 ke 4th ruku ki ayat ek ayat hai{IN-AL-ALLAHA WAMALAIKATAHU YUSALUNAAL AN NABI YA-AYU HAL LAZINA AMANU SALU ALEYHI WASALIMU TASLEEMA}TRANSLATION :-BESHAK ALLAH TA'ALA AUR USKE FARISHTE NABI (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم), PAR DAROOD BHEJTE HAI AYE IMAAN WALO TUM BHI UN PAR KHOOB DAROOD 0 SALAM BHEJA KARO ![1] Darood gunaho ka kafara hai[2] Darood se amal pak hota hai[3] Darood padhne se darajat buland hote hai[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai[6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam)darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge[10] Darood padhne wale par Aqa do jahanki shifa’atwajib hojati hai[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala kiraza aur rehmat likh di jaati hai[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega[20] Pul sirat par use noor ata hoga[21] Darood padhne wala maut se pehle apnamuqam jannat mai dekh leta hai[22] Darood ki barkat se maal badhta hai[23] Darood padhna ibadat hai[24] Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai[25] Darood pak majliso ki zeenat hai[26] Darood pak tangdasti ko dur karta hai[27] Jo darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga[28] Darood agar padh kar kisi marhoom ko bakhshajaye to use bhi nafa deta hai[29] Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota hai[30] Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai[31] Darood padhne wale ka dil zang se pak hojata hai[32] Darood pak padhne wale shakash se log mohabbat karte hai[33] Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz rehta hai[34] Sab se badi naimat darood padhne ki yehhai ke use khawab mai pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti haiJUZB AL-QALUB MAI DARJA-E-ZIL FAZAIL BAYAN HAI[35] Ek bar darood padhne se 10 gunah maafhote hai 10 nekiyan milti hai 10 darje buland hote hai 10 rehmate naazil hoti hai[36] Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai[37] Darood padhne wale ka kandha(shoulder) jannat ke darwaze par nabi (Salallaho Alehi Wassalam) ke kandhemubarak ke saath chu (touch)jayega SUBHAN ALLAH[38] Darood padhne wala qayamat ke din sab se pehle aqa ke pas pohanch jayega[39] Darood padhne wale ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat hogi[40] Darood padhna duniya aur aakhirat ke har dar 0 gham ka wahid elaz hai[41] Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai[42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai[43] Darood pak padhna munafa he munafa hai aur yeh munafa darood padhne wale ko jannat tak pohancha deta hai[44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi se bachne kaasan amal hai[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka faida usi ki taraf laut ta hai jo isko padhta hai[46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna hai[47] Darood pak padhne wala ruhaani taurpar tarbiyat-e-Muhammad (Salallaho Alehi Wassalam) mai hota hai[48] Darood ki kasrat karna ahl-e-sunnat kiallamat hai[49] Darood padhne wala har majlis mai zaib 0 zeenat hasil karta hai[50] Darood pak padhne wale ko baroz-e-hashar maidan-e-hasharmai jannat ki rahein khuli milengi Inshallah[51] Darood pak padhne wale ke badan se khusbu aaya karegi[52] Darood padhne wale ko hamesha nekikarne ki khawahish raha karegi[53] Darood padhne wale ka naam bargahe risalat mai liya jayega[54] Darood padhne wala marne tak imaan par qaimrahega[55] Darood padhne wale ke liye zameen 0aasman walo ki duaein waqaf rahengi[56] Darood pak padhne wale ko zaat mai aamal mai umar mai aulaad mai aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske 4 pushto tak aasar zahir honge[57] Darood padne wale ka ghar roshan rahega[58] Darood padhne wale ka chehra purnur aur guftar mai halawat hogi[59] Darood pak padhnewale ki majlis mai bethne wale ki majlis mai log khush honge[60] Darood pak padhne wale ki daawat ka sawab 10gune hoga. ROZANA ESI ISLAMIC POST KO PADHNE KE LIYE HAMARE BLOGG AHLE SUNNI MARAKAZ KO FOLLOW KARTE RAHIYE YA HAMARE FB PAGE ISLAMI EDUCATION KO LIKE KARTE RAHIYE ....INSHAALLAH ALLAH NE CHAHA TO HAM AHLE SUNNI MARAKAZ KO PURI DUNIYA ME FELAYENGE......INSHAALLAH
No comments:
Post a Comment