Saturday, September 17, 2016

QUR'AAN E PAAK KO SAMJIYE

[1]Quran__Kya tumne nahi pata ki aasmano aur zamin ki badshahi Allah ki hi hai aur Allah ke shiwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai.(para-2, sureh-Al-bakra, ayet no. 106)[2] Quran__Jo log iman laye, aur hizrat ki aurAllahki rah mai apne maal aur apni jano se jihad kiya Allah ke liye (unke liye) bada darza hai. Aur wahi hai jo murad (Qamiyabi hasil) wale hain. (Para-10, sureh-at-tawba, ayet no-20)[3]Quran__Jo koi akhirat ki kheti chahata hoga, ham usse uski kheti mai badhotri (Barkat) karege. Aur jo koi duniya ki kheti chahata hoga, usse usmai se dege aur uska akhirat mai koi hissa nahi. (para – 25, sureh – As-sura, ayet no – 20)[4] Quran__Apne rab (Allah) ki mano is se pahele ki Allah ki or se wah din aa jaye jo taalne wala nahi. Us din tumhare liye na koi panah ki jagah hogi aur na (Apni safayi mai) tum koi awaz utha sakoge. (Para – 25, Sureh – Assura, ayet no. 46)[5] Quran__To jis kisi ne sarkashi (badmashi) ki hogi aur duniya ki zindagi ko tarzeeh di (duniyayi zindagi ko pasand kar liya hoga) tobeshakbhadakti aag hi thikana hai. (para – 30, sureh – an-naziyat, ayet no – 37-39)

No comments:

Post a Comment