Shaq-ul-Qamar ka bayaan :Qur’an :54 Surah al-Qamar, Aayat 1, 2 :اقْتَرَبَتِ السَّاعَةُ وَانْشَقَّ الْقَمَرُوَإِنْ يَرَوْا آيَةً يُعْرِضُوا وَيَقُولُوا سِحْرٌ مُسْتَمِرٌّQayaamat qareeb aa pahunchi aur chaand do tukdeho gaya.Aur agar wo [kuffaar] koi nishaani [moaziza] dekhte hain to munh pher lete hain aur kehte hain ke ye hamesha se chala aane wala taaqatwar jaadoo hai.Makke walo ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se kaha ki ‘Aap koi Moajiza dikhayen’ to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne inhe chaand ke 2 tukde kar ke dikhaye yaha tak ki unho ne Hira pahaad ko chaand k 2 tukdo ke darmiyaan dekha.(Bukhari, Jild -1, Safa -546)**************Shaq-ul-Qamar ya’ni Chaand ko chirna (Splitting of the moon),Ye Huzoor Sarwar e kaa'inat Sayyed ul Ambiya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke khaas moazizaat me se ek hai.13 Zil Hijjah ki raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wasallam Jabl e Abu Qubais par (jo dunya ka sab se pehla pahaad hai aur Masjid e Haram ke qareeb hai) tashreef farma the. Abu Jahal ka is khayaal ke saath ke ‘Jaadoo aasmaan par nahi chalta hai.’ yahudiyo ke saath aap ke paas aaya aur kaha ‘Agar tum Nabi e saadiq ho to chaand ke 2 tukde karo.’Aasmaan me pura chaand chamak raha tha. Aap neapni angushte sabaaba mubarak [shahaadat ki ungli] se chaand ko ishaara farmaaya to ALLĀH ta’ala ke hukm se foran chaand ke do tukde ho gaye. Ek tukda aasamaan me wahi par raha aur dusra tukda ek jaanib door chala gaya. Phir aap ne ishaara farmaaya to ba-dastur ho gaya.Is moazize ko waha maujood logo ne bhi dekha aur Arab me, Hindustan me aur dusre mulko me aurmusaafiro se bhi is ki tehqeeqaat wa shahaadat paai gai.Is moazize ke zaahir hone ke baad bahot saare kaafir musalman hone lage.Magar Abu Jahal aur dusre kaafiro ne ise bhi jhutlaaya aur hidaayat haasil na kar sake.Hindustan me bhi Kodungallur, Kerala me Raaja Rama Verma ne (jo Hindustan ke sab se pehle musalman hain) aur Bhatinda, Punjab me Baba Ratan Hindi ne (jo sab se pehle Hindustani sahaabi e Rasool hain) ise dekhkar baad me Islaam apnaaya.****************ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe meSab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur In baato ko yaad rakhne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.Aur Islaam ka bolbala ata farmae.Aameen.
No comments:
Post a Comment