Monday, October 10, 2016

EK SAHABI E RASOOL KA FESLA...SUBHANALLAH

 «••**********HIQAYAT:*********Hazrat Imaam Shafayi Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ki Umr Sharif 6 Baras Ki Thi Ki Aap Madarse Jaya Karte The! Aapki Walida Maajida Bani Haashim May Se Thi! Log Apni Amanatain Unke Paas Rakh Jaya Karte The! Ek Roz 2 Shaks Aaye Aur Ek Sandook Bataur Amanat Rakhker Chale Gaye! Chand-Dino Ke Baad Unme Se Ek Aaya Aur Kehne Laga Ki Sandook De Dijiye! Unohne De Diya! Fir Chand-Roz Ke Baad Dusra Aaya Aur Sandook Maangne Laga, Unohne Farmaya, Ki Tumahra SathiAaya Tha Wo Legaya Hain! Usne Kaha Ki Kya Humne Aapse Na Kaha Tha Ki Jabtak Hum Dono Na Aaye Sandook Na Dena! Unohne Kaha Haan! Be-Shak Tumne Kaha Tha! Usne Kaha Aapne Use Kyon De Diya? Hazrat Imaam Shafayi Alai-Hir-Rehmaan Ki Walida Pareshaan Hogayi Aur Sochne Lagi Ki Ab Kya Kiya Jaye? Itne May Hazrat Imaam Shafayi Alai-Hir-Rehmaan Madarse Se Tashrif Le Aaye, Apne Walida Sahiba Se Pucha Ki Aap Pareshaan Kyon Hain? Unohne Saara Wakiya Sunaya! Hazrat Imaam Alai-Hir-Rehmaan Ne Farmaya, Kuch Parwa Nahi, Muddayi Kahan Hain Taaki Main Usko Jawab Du! Muddayi Jo Wahin Maujudh Tha Bola, Main Hoon! Hazrat Imaam Shafayi Ne Farmaya, Ki Tumahra Sandook MaujudhHain! Apne Sathi Ko Bula Lao Taaki Sandook Tum Dono Ke Hawale Kiya Jaye! Wo Shaks Hairaan Hua Aur La-Jawab Hoker Wapas Chala Gaya!(Tazkiratul Auliya Pg-255)************************SABAK:*******Hazrat Imaam Shafayi Alai-Hir-Rehmaan Bachpan Hi May Bade Dana Aur Ilm Wa Fazl Ke Maalik The! Fir Bade Hoker Kyon Na Aap Imaamul-Muslimeen Bante?************

1 comment: