MOHARRAM-UL-HARAM PART 16
===========================
kufiyo ke baar- baar israr per HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU kufa tashreef le jane per aamaada ho gye lekin halaat ka pata lagane ke liye apne paihle apne chacha zaad bhai HAZRAT MUSLIM BIN AQEEL RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko waha bheja. HAZRAT MUSLIM se farmaya ke tum waha jakar mere liye kufiyo se bait lo. agar unhone bait karli to mujhe ittela kar dena, mai bhi aa jaunga .
chunache HAZRAT MUSLIM apne do kamsin baccho ko sath lekar kufa ko rawana ho gye. in do sahab zado ke naam MUHAMMAD AUR IBRAHEEM the. ye dono apne baap ko bahut pyare the. isliye ye dono bhi safar me apne walid buzugwaar ke sath ho gye. HAZRAT MUSLIM kufa pahuche to aapne mukhtaar bin ubaid ke makaan per qayam farmaya. aapki tashreef aawari ki khbar sunkar jooq der jooq(bhid ki bhid) makhlook aapki ziyarat ko ayi.
12000 se ziyadah tadat me aapke hath per HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki bait ki .
HAZRAT IMAM MUSLIM ne ahle iraaq ki mohabbat wa aqidat dekhkar HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki janaab me aariza likha jisme yaha ke halaat ki itteala di aur guzarish ki ke aap jaldi tashreef le aye taqi bandagane KHUDA yazeed ke naapak sharr se mahfooz rahe aur deen-A- HAQ ki taaed ho.
(SIRRUS`SHAHADATAIN SAFA 14 SAWAANHE KARBALA SAFA 53 SACCHI HIQAYAT HISSA DOYEM BAB 6 PAGE NO 357-358)
To be continued..........insha-Allah. .
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*KUFIYON K KHATON letters KI TFSIL*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Pehla khat jo koofiyon ki taraf se likkha gaya us mein likha k *hamaare sar par koi imaam nahi..Aap tashriif laiye..Allah taala Aap ki barkat se ham ko haq ki himaayat nasiib kare..*
*Damishq ( damaascus ) ka governor Nomaan moujood hai magar ham us k saath namaaz e jumua nahi padhte na Eid-gaah jaate hai..*
*Jab ham ko pata chalega k Aap aa rahe hai to ham us ko yahaan se nikaal kar mulke shaam ( siriya ) jaane par majboor kar denge..*
Pehla khat Abdullah hamdaani aur abdullah bin daal k haathon rawaana kiya gaya..Imaame Husen ki khidmat mein jo 10 ramzaan ko 60 hijri ko makka sharif pohncha..
Fir 2 dinon mein is tarah k 3 alag alag logon k zariye 53 khutoot mile jin mein har khat par 3..4 logon k sign hote the.. *fir kuch dinon k baad kuch khaas logon ki arziyaan mili..
★ *In khaton k madde nazar Imaame Husen ne ye faisla kiya k aik khat mein un k jazbaat ka izhaar karte huwe Hazrate Muslim ko apna numaainda bana kar bhej diya..ye tay paya..nakki huwa k agar haalaat saazgaar huwe to mein khud bhi aa-jaaunga.*
Ridwaanullahi taala alayhim ajmaiin
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*IMAM KA KUFA JANA KYUN ZARURI*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Hazrat sadrul afaazil Naimuddin muraadaa-baadi..alayhir rehmah.. farmate hai k..Yaziid ki hukumat par bethne k baad awaam O khaas k diin O iimaan ki tabaahi ka khatra badh gaya aur koofa waalon ka yaziid ki bay-at se inkaar aur Imaame Husen se bay-at karne ki baat ne *Imaame Husen par laazim kar diya k unki dar-khwaast ko qubool kare..*
★ Socho k Jab aik qaum zaalim aur faasiq ki bay-at par raazi na ho aur Imaame Husen k jo us mansab ( kursi..rutba ) k sachche haqdaar bhi hai..
Aur agar wo qubool na karte aur inkaar karte aur qayamat k din Allah ki baargaah mein ye kehte k ham to har tarah se Imaame Husen k saath the agar ye apna daste karam ( haath ) badha dete to ham apni jaanein qurbaan kar dete..
Magar Imaame Husen raazi na huwe to baargaahe Ilaahi mein koofiyon k daaman pakadne par kya jawab hota..
★ *Isi wajah se Imaame Husen k liye koofiyon ki daawat par labbaik kehne k siwa koi chaara ( option ) na tha.*
★ Akaabir sahaaba Hazrate Abbaas..Ibne Umar..Hazrate Jaabir..Hazrate Abu Saeed waghaira Imaame Husen k is faisle se ittifaaq nahi rakhte the..
Aur un ko koofiyon ki zabaan ka bharosa na tha isliye wo Imaame Husen ko rokte the..
*Lekin Imaame Husen apni zimme daari aur aakhirat mein Allah ki baargaah mein jawaab dehi k madde nazar apni baat par jame rahe.*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*▪NOTE...* Wo log jo aaj yaziidi soch rakhte hai aur karbala ki jang ko siyaasi jang ( political war ) kehte hain..
Kya un ko Imaame Husen k mansab ki zimmedaari ka ahsaas nahi..? ( Dil par haath rakh kar sochein..Koofa jaana ye un k mansab ki zarurat na thi..??..Yaqinan thi )
Allah Dil aur Nazar ki paakiizgi aur Ahle bait ki sachchi muhabbat hamare dilon mein salaamat rakkhe.
*AAMIIN..AAMIIN..AAMIIN*
Sallallahu alayhi wasallam
Ridwanullahi taala ajmaiin
*TAARIIKHE TIBRI*
*J..2..Safa..178*
*SAWAANAHE KARBALA..safa..87*
*KHUTBAATE MUHARRAM*
No comments:
Post a Comment