Wednesday, October 26, 2016

MOHARRAM-UL-HARAM PART : 17

*MOHARRAM-UL-HARAM PART 17* =========================== HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU jab kufa pahuche to 12000 se ziyadah iraaqiyo ne HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki bait IMAM MUSLIM ke hath per karli. ye surte haal dekhakar IMAM MUSLIM ne HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko likha ki aap jald tashreef le aye. udhar jab yazeed ko is surte haal ka pata chala to usne hakime basra ubaidullah bin ziyaad ko hukm bheja ki wo faoran kufa pahuch kar logo ko IMAM HUSSAIN ki bait se roke aur jinhone bait karli hai unhe tambi kare. ibne ziyaad bada makkar aur jallad tha. ye zalim jhat kufa pahucha aur ahle kufa ko jama karke yazeed ki mukhalfat se daraya dhamkaya aur bade-bade lalach dekar unhe himayete HUSSAIN se roka. sab per apna rob aur dabdaba bithaya. HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ki ye sorte haal dekhkar raat ko hani bin urwah ke makan me tashreef le gye aur farmaya A hani mai yaha gareeb musafir hu. tu ahle kufa se khoob waqif hai. mai teri panah me aya hu. mujhe apne makan me panah de. hani ne qubool kiya aur ek hujra apne ghar ka unke liye khali kar diya. ibne-ziyaad ko pata chal gya ki IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ko hani ne panah de rakkhi hai. chunache usne apni faoj bhejkar HANI ko giraftaar kar liya aur is tarah kufa ke dusre rausa aur leadraan ko bhi Qile me band kar liya. HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko is surte haal ka pata chala to aapki rage hashmi josh me ayi. apne dono baccho ka kazi-A-shaher ke ghar me rawana karke muhib ahle bait ko bulaya to aapki awaaz per juk-der-juk aadmi ane shuru hue. 40,000 logo ne milkar shahi mahel ko gher liya. kareeb tha ki ibne ziyaad aur uske sathi girftaar ho jate ki ibne ziyaad ne ek chaal chali. (SIRRUSH SHAHADATIAN SAFA 16 SAWAANHE KARBALA SAFA 5 TAZKIRA-A-HUSSAIN SAFA 36 SACCHI HIQAYAT HISSA DIOYEM BAB 6 PAGE NO 358-359) To be continued.......... *Insha Allah*. .PLZZZ SHER TO ALL SUNNI MUSLIM BROTHER AND SISTER AND ALL ISLAMIC FB AND WHATSAPP GROUP S JAZAKALLA

No comments:

Post a Comment