*MOHARRAM-UL-HARAM PART 15*
===========================
HAZRAT AAMIR MUA`AVIYA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki wafat ke baad yazeed takht per baitha to ahle iraaq ko jab maloom hua ke HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne yazeed ki bait nahi ki. aaap MAKKA MUA`AZZAMA tashreef le gye hai to unhone mutaffiq (ek raye) hokar HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki khidmat me khat bhejne shuru kiye jisme is amr ka izhaar tha ke hum apne jaan wa maal aap per qurbaan kar dege.
aaap yha kufe me tashreef laye. hum aapki bait karke aapke hukm se zaalimo se mukabla karenge aur aapka baherhaal sath dege. is taraf ke ilteja namo ka silsila bandh gya aur tamam jamato aur firqo ki taraf se 150 ke kareeb khutot HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki khidmat me pahuche. aap kaha tak khamoosh rahte. kufiyo ke baar-baar israr per aapne unhe jawaab diya ke tumhare 150 ke kareeb khat pahuche . mai filhaal apne chacha zaad bhai MUSLIM BIN AQEEL ko tumhari taraf bhejta hu taqi tumhari sacchayi pata chal sake. tum agar waqayi mera sath dena chahte ho to mere numainde MUSLIM BIN AQEEL ki bait karo jab wo tumhare haal aur sacchayi ki mujhe ittela karenge to mai bhi aa jaunga .
(SAWAANAHE KARBALA SAFA 52 TAZKIRA-A-HUSSAIN SAFA 300 SACCHI HIQAYAT HISSA DOEM BAB 6 PAGE NO 356.357)
RADI ALLAHU TA'ALA ANHUM
SABAK
======
kufiyo ki bewafayi mashoor hone ke bawajood HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU unki darkhwast per tawajjo isliye farmayi taqi kal qayamat ke din wo log ye na kaih sake ki hum zalimo se mukabla aur unse rihayi ke talabgaar the. lekin IBN-A-ALI HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne humari kisi darkhawast per humari tawajjo nahi farmayi. HAZRAT IMAM ALI MAKAM ne itmame hujjat (baat puri ho jana) ke liye apne bhai ko kufe bhej diya . aap apna farz ada karne ko tayyar ho gye.
=========================================================
Dosto kuch Bhai bahno ne kaha hai ki post aise set kijiye ki 9.10MOHARRAM me IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki shahadat per post ho
.ab aap log boliye mai shuru se silsila jaise post kar raha hu waise karu??ya sidhe AAPKI shahadat per post karu wo part bahut age hai kareeb 50 .60 part se suruat hoga wo halaki maine abhi likha nahi hai lekin aap log kahege to likh dunga .ab comments me zarur boliye ki jaise silsila chal raha hai aise hi chalau?ya AAPKI shahadat per post karu sidhe?zarur boliye kyuki usi hisab se mujhe post set karne padege.. plzz share to all sunni muslim :-)
No comments:
Post a Comment