Saturday, October 8, 2016

MOHARRAM-UL-HARAM PART : 3

MOHARRAM-UL-HARAAM PART HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke fazail me bahut si HADITH waarid hai. Aap hazraat paihle un HADITH ko Sama`aat farmaye jo sirf aap ke MANAAQIB me hai. Fir jo HADITH kisi dono SHAHZAADO ke fazail ko shamil hai wo baad me pesh ki jayegi IN SHA ALLAH. HADITH ====== TIRMIZI SHAREEF ki HADITH hai HAZRAT YAALA BIN MURRA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat hai ke HUZOOR PUR NOOR SAYYAD-A-ALAM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya HUSSAIN mujhse hai aur mai HUSSAIN se hu . yani HUSSAIN ko HUZOOR se aur HUZOOR ko HUSSAIN se intehayi kurb hai .HUSSAIN se dosti HUZOOR se dosti hai ,HUSSAIN se dushmani HUZOOR se dushmani hai ,aur HUSSAIN se ladayi karna HUZOOR se ladayi karna hai . SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM wa RADI ALLAHU TA`ALA ANHU Aur SARKAR-A-AQDAS Irshaad farmate hai jisne HUSSAIN se mohabbat ki usne ALLAH TA`ALA se mohabbat ki. (MISHKAT SAFA 571) Isliye ke HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se mohabbat karna HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM se mohabbat karna hai aur HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM mohabbat karna ALLAH TA`ALA se mohabbat karna hai . (MIRQAAT SHARAH MISHKAT JILD 5 SAFA 605) To be continued. .. insha-Allah. .

No comments:

Post a Comment