Tuesday, October 4, 2016

MOHARRAM-UL-HARAM PART ...1

MOHARRAM-UL-HARAM PART 1 ========================== WILADAT-A-HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ==================================================== SAYYADUSH SHOHDA HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki wilaadate mubaraka 5 shabaan 4 hijri ko MADEENA TAYIBA me hue. SARKAR-A-AQDAS SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne aapke KAAN MUBARAK me AZAAN di..Muh mubaarka me LUAB-A-DAHEN daala aur aapke liye dua farmayi fir satve din aapka naam HUSSAIN rakkha aur AQIQA kiya. HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki kunniyat ABU ABDULLAH aur laqab “SIBT-A-RASOOL” wa “RAIHAANTUR RASOOL” hai. HADITH SHAREEF me hai , RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya ke HAZRAT HAROON ALAIHIS`SALAAM ne apne beto ka naam SHABBAR wa SHABBIR rakkha aur maine apne beto ka naam unhi ke naam per HASAN aur HUSSAIN rakkha. (SAWAAIQE MUHARRIQ SAFA 118 –KHUTBAAT-A-MOHARRAM SAFA 370) Isi liye HASNAIN KAREEMAIN ko SHABBAR wa SHABBIR ke naam se bhi yaad kiya jata hai. Suryani zubaan me SHABBAR wa SHABBIR aur Arbi zubaan me HASAN wa HUSSAIN dono ke Mayene ek hai . Aur HADITH SHAREEF me hai ke : HASAN aur HUSSAIN jannati naamo me se do naam hai. ARAB ke zamana-a-jahaliyat me ye dono naam nahi the. (SAWAAIQE MUHARRIQ SAFA 118 –KHUTBAAT-A-MOHARRAM SAFA 370) To be continued. ...

No comments:

Post a Comment